nazar aane se pahle Dar raha huun
ki har manzar ka pas-manzar raha huun
mujhe hona paḌega reza reza
main sar se paanv tak patthar raha huun
kisi ko kyuun main ye ezaaz baḳhshunga
main ḳhud apni hifazat kar raha huun
mujhi ko sruḳh-ru hone ka haq hai
ki main apne lahu men tar raha huun
mire ghar men to koi bhi nahin hai
ḳhuda jaane main kis se Dar raha huun
main kya janun gharon ka haal kya hai
main saari zindagi bahar raha huun
ta.alluq hai isi basti se mera
hamesha se magar bach kar raha huun
Leave a Reply