shaghl behtar hai ishq-bazi ka
kya haqiqi o kya majazi ka
har zaban par hai misl-e-shana mudam
zikr tujh zulf ki darazi ka
aaj teri bhavan ne masjid men
hosh khoya hai har namazi ka
gar naiin raz-e-ishq suun agah
fakhr beja hai fakhr-e-razi ka
ai ‘vali’ sarv-qad ko dekhunga
vaqt aaya hai sarfarazi ka
Leave a Reply