vo mujh ko kya batana chahta hai
jo duniya se chhupana chahta hai
mujhe dekho ki main us ko hi chahun
jise saara zamana chahta hai
qalam karna kahan hai us ka mansha
vo mera sar jhukana chahta hai
shikayat ka dhuan ankhon se dil tak
ta.alluq TuuT jaana chahta hai
taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil
vahi qissa purana chahta hai
Leave a Reply