is dar pe mujhe yaar machalne nahin dete
arman mire ji ke nikalne nahin dete
dam dam men khabar pahunche hai jo aane ki apni
hai jaan labon par vo nikalne nahin dete
ashob-e-qayamat se zi-bas khauf hai sab ko
do chaar qadam bhi unhen chalne nahin dete
jaata hai safa-e-rukh-e-dildar pe jab dil
maqdur tak apne to phisalne nahin dete
aadat men karo farq na tum apni nigah se
kyuun zahr use aaj ugalne nahin dete
vo parda-nashini ki riayat hai tumhari
ham baat bhi khalvat se nikalne nahin dete
ye dast-basar rahne ka ‘arif’ vo mahal hai
us ja kaf-e-afsos bhi malne nahin dete
Leave a Reply