ankhon ko sujhta hi nahin kuchh siva-e-dost
kanon men aa rahi hai barabar sada-e-dost
kaisi vafa sitam se bhi us ne uthae haath
rah rah ke yaad ab aati hai tarz-e-jafa-e-dost
siine men dagh-ha-e-mohabbat ki hai bahar
phula hai khuub ye chaman dil-kusha-e-dost
dil men mire jigar men mire aankh men miri
har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost
muddat se paanv tode hue baithe the ‘sharaf’
akhir uda ke le hi chali ab hava-e-dost
Leave a Reply