saḳht vahshi huun bila-vaj.h biphar jaata huun
is liye apni taraf ja.un to Dar jaata huun
ek hi tarz ki vahshat se bhare rahte hain
main agar dasht nahin jaata to ghar jaata huun
chaar chhe inch ki duuri se mira saaya mujhe
ik sada deta hai main bar-e-digar jaata huun
ba.az auqat udasi ko manane ke liye
apne hone ki dalilon se mukar jaata huun
lafz bunte hue aata huun saḌak par aur phir
jaane kya dhyan men aata hai Thahar jaata huun
ghar se daftar gaya daftar se ghar aaya ab dasht
vaise banta to nahin jaana magar jaata huun
Leave a Reply