vahi rang-e-ruḳh pe malal tha ye pata na tha
mira gham bhi shamil-e-hal tha ye pata na tha
vahi shaam aḳhiri shaam thi ye ḳhabar na thi
vahi vaqt vaqt-e-zaval tha ye pata na tha
mujhe kar gaya jo tahi tahi bhare shahr men
vo mira hi dast-e-saval tha ye pata na tha
mujhe but bana ke chale ga.e ki na ro sakun
unhen mera itna ḳhayal tha ye pata na tha
vo hava-e-marg thi jis se dil ka diya bujha
mire dil ka bujhna kamal tha ye pata na tha
main ‘mujibi’ DhunDun kahan use vo kahan mile
vo to aap apni misal tha ye pata na tha
Leave a Reply