kinare par koi aaya tha jis ka khali bajra dolta rahta hai paani par
koi utra tha bajre se
vo manjhi hoga jis ke paanv ke maddham nishan ab tak dikhai de rahe hain giile sahil par
gaya tha kahkashan ke paar ye kah kar
abhi aata huun thahro us kinare par zara main dekh luun kya hai
ye bajra dolta rahta hai is thahre hue dariya ke paani par
vo lautega ya main jaun
mujhe us paar jaana hai
Leave a Reply