dil ko azar laga vo ki chhupa bhi na sakun
parda vo aa ke pada hai ki utha bhi na sakun
muddaa samne un ke nahin aata lab tak
baat bhi kya gham-e-dil hai ki suna bhi na sakun
be-jagah aankh ladi dekhiye kya hota hai
aap ja bhi na sakun un ko bula bhi na sakun
vo dam-e-naza mire bahar-ayadat aae
haal kab puchhte hain jab ki suna bhi na sakun
zindagi bhi shab-e-hijran hai ki katti hi nahin
maut hai kya tira aana ki bula bhi na sakun
dam hai ankhon men ise jaan men laun kyunkar
kab vo aae ki unhen haath laga bhi na sakun
sharm-e-isyan ne jhukaya miri gardan ko ‘zahir’
bojh vo aa ke pada hai ki utha bhi na sakun
Leave a Reply