kise bata.en ki zad-e-safar gaya kab ka
raha hi kya hai gham-e-mo’tabar gaya kab ka
mujhe bhi dekh ki main ek naqsh-e-hairat huun
dikha ke aa.ina a.ina-gar gaya kab ka
talash sahra-ba-sahra jise kiya main ne
vo meri ruuh ke andar utar gaya kab ka
dua rahin-e-asar hai ye baat sach hai magar
miri dua se yaqinan asar gaya kab ka
na sang-e-mil na jaada na koi manzil-e-shauq
akela main huun mira ham-safar gaya kab ka
koi umiid na ḳhvahish na aarzu baaqi
ki mere jism ka insan mar gaya kab ka
‘habab’ ek tanavar daraḳht tha main bhi
pa TuuT TuuT ke aḳhir bikhar gaya kab ka
Leave a Reply