Ek Aan Mein Hi Yun Tera Paikar Badal Gaya

ik aan meñ hī yuuñ tirā paikar badal gayā

jaise stage par koī manzar badal gayā

suntā nahīñ hai koī bhī merī pukār ko

dastak badal ga.ī ki mirā ghar badal gayā

ik aan meñ hī sab dar-o-dīvār dhul ga.e

bārish se shahr-bhar kā muqaddar badal gayā

ḳhalvat meñ jis ke lab pe the merī vafā ke giit

vo shaḳhs mere sāmne aa kar badal gayā

‘betāb’ ab to had-e-nazar tak hī ret hai

rātoñ hī raat kitnā samundar badal gayā

Leave a Comment