• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ek Purani Kahani

Ek Purani Kahani

zehra-nigaah

kisi shahr men ik kafan-chor aaya

jo raton ko qabron men surakh kar ke

tan-e-kushtagan se kafan khinch leta

akhir-e-kar pakda gaya

aur us ko munasib saza ho gai

kuchh hi din baad ik dusra chor varid hua

jo kafan bhi churata

qabr ko bhi khula chhod deta

dusra chor bhi rukn-e-insaf ke paas laaya gaya

aur mehman-e-zindan hua

phir yakayak kisi tisare chor ka ghul macha

jo kafan bhi churata

qabr ko bhi khula chhod deta

aur murda badan ko barahana kisi raah par daal deta

shahr vaale jab use adalat men laae

to qaazi ne us ki saza ko sunate hue

faisla yuun likha

”khudavand pahle kafan-chor ko apni rahmat men rakhna ki vo aadmi khuub tha”

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main KHud Gaya Na Uski Ada Le Gai Mujhe

poet

Go Shama Hun Pa Mahfil-E-Jaanan Se dur Hun

Masarrat Chiz Kya Hai Ranj Kya Hai

Sirf baiThe Hue Aahen Na Bharo

Har Ek Shab Ke Guzarne Pe Muskuraati Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet