main agar aa.ine banata huun
jauhar-e-ḳhak se banata huun
tum kisi ek se chale aana
main ka.i raste banata huun
baat kya hai khule bas itna hi
main kahan mas.ale banata huun
kis ki duuri ka ḳhauf hai mujh ko
ḳhvab men da.ere banata huun
main ki apni isi ḳhamoshi se
baat ke silsile banata huun
zaḳhm deti hai tirgi aur main
raushni zaḳhm se banata huun
main jo ḳhud ko bana nahin paaya
ab tire vaste banata huun
Leave a Reply