masraf ke baghair jal raha huun
main suune makan ka diya huun
manzil hai na koi jaada phir bhi
ashob-e-safar men mubtala huun
mahmil bhi nahin koi nazar men
sahra ki bhi ḳhaak chhanta huun
mansur na da.ava-e-anal-haq
suuli pe magar laTak raha huun
ai ahl-e-karam nahin main saa.il
raste pe yunhi khaḌa hua huun
ab shikva-e-sang-o-ḳhisht kaisa
jab teri gali men aa gaya huun
is shahr men vaz-e-kaj-kulahi
main vaqa.i dar-ḳhur-e-saza huun
Leave a Reply