dosto ab tum na dekhoge ye din
ḳhatm hain ham par sitam-ara.iyan
chun liya ik ek kanTa raah ka
ho mubarak ye barahna-pa.iyan
ku-ba-ku mere junun ki azmaten
us ki mahfil men miri rusva.iyan
azmat-e-suqrat-o-isa ki qasam
daar ke saa.e men hain dara.iyan
charagar marham bharega tu kahan
ruuh tak hain zaḳhm ki gahra.iyan
‘kaif’ ko dagh-e-jigar baḳhshe ga.e
allah allah ye karam-farma.iyan
Leave a Reply