jiine ke liye jo mar rahe hain
aghaz-e-hayat kar rahe hain
hai husn ka naam muft badnam
log apni talab men mar rahe hain
ghunchon ki tarah khile the kuchh log
kirnon ki tarah bikhar rahe hain
hai naqsh-e-qadam pe naqsh-e-zanjir
divane jidhar guzar rahe hain
sunta huun ki aap ke vafadar
anjam-e-vafa se Dar rahe hain
sahil ko bhi chhoḌte nahin log
kashti pe bhi paanv dhar rahe hain
ab dasht men narm-rau hava se
kuchh naqsh-e-qadam nikhar rahe hain
ruhon men na.i sahar ke baa.is
zehnon ke nashe utar rahe hain
ham jaise tamam nam-leva
dhabba tire naam par rahe hain
ḳhushbu se ladi bahar men bhi
ham dard se bahra-var rahe hain
har daur ke fan-shanas ‘danish’
nakam-e-husul-e-zar rahe hain
Leave a Reply