sitara le gaya hai mera asman se kaun
utar raha hai ‘shumar’ aaj mere dhyan se kaun
abhi safar men koi moḌ hi nahin aaya
nikal gaya hai ye chup-chap dastan se kaun
lahu men aag laga kar ye kaun hansta hai
ye intiqam sa leta hai ruuh o jaan se kaun
ye daar chuum ke muska raha hai kaun udhar
guzar raha hai tumhare ye imtihan se kaun
zamin chhoḌna filhal mere bas men nahin
dikha.i dene laga phir ye asman se kaun
Leave a Reply