ja baithte ho ghairon men ghairat nahin aati
us vaqt miri jaan muravvat nahin aati
nazdik bhi ja kar na mila parda-nashin se
ja duur ho ai dil tujhe chahat nahin aati
ik ham hain ki hain nam-e-mubarak pe tasadduq
tum ko to kabhi dekh ke ulfat nahin aati
ya ranj hai ya hijr hai ya huzn hai ya gham
kuchh shakl bana kar to musibat nahin aati
kya rah-ravi yaar ki sikhe hai tu is saal
is tarah gai jism se taqat nahin aati
har shai ke liye zarf hai darkar jahan men
kam-zarf ke nazdik to sarvat nahin aati
kalkatte ne nabud kiya khvab-e-khushi ko
pal-bhar mujhe is shahr men rahat nahin aati
rahta huun khayal-e-rukh-e-zeba men shab-o-roz
ai jaan tasavvur men vo surat nahin aati
khilte hain gul-e-sher har ik roz mah-o-sal
‘akhtar’ mire gulzar pe aafat nahin aati
Leave a Reply