mat sata mujh ko aan aan aziiz
tuk kaha bhi kisi ka maan aziiz
kyunke dil us se pher luun naseh
jis se rakhta nahin huun jaan aziiz
yaan hai khvahish khadang ki tere
na rakhe go ki vaan kaman aziiz
dil idhar khinchta hai siina udhar
sab ko hota hai mehman aziiz
dil se khadim huun main ‘bayan’ un ka
jitne hain mere mehrban aziiz
Leave a Reply