har lafz us ke munh se jo nikla bhala laga
har vo libas us ne jo pahna naya laga
rahta hai pattharon ke nagar men vo sang-dil
be-fa.eda hai dar pe na us ke sada laga
be-chehra be-libas hain basti ke saare log
kaisi haya yahan pe na band-e-qaba laga
surat se us ki mujh ko hai nafrat magar ye kya
tasvir se usi ki mira ghar saja laga
tujh se farar pa na saka main kabhi ‘zafar’
jis raste gaya vo tire ghar se ja laga
Leave a Reply