• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-E-Wafa Kyun Hai

Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-E-Wafa Kyun Hai

sahar anjan si maghmum sa ḳhvab-e-vafa kyuun hai

na jaane qurbaton ke naam se ye fasla kyuun hai

andhere zahr barsane lage hain zindagani par

kisi ke pyaar ka mahtab aise men ḳhafa kyuun hai

zara jab raat Dhalti hai to ḳhvabon ke jharoke se

hasin manus shaklon ka savera jhankta kyuun hai

bahar aa.i faza mahki ḳhushi ne haath phaila.e

to phir ye zindagi avara-e-dasht-e-vafa kyuun hai

shab-e-gham kaT ga.i lekin ujalon se gale mil kar

sahar ki aarzu itni sahar na-ashna kyuun hai

mire anfas se aati hai ḳhushbu-e-sahar kaisi

sukut-e-bam-o-dar men aaj teri hi sada kyuun hai

koi dil se nahin guzra to ‘saqib’ kaun batla.e

kisi pazeb ki jhankar se dil gunjta kyuun hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phir Kya Tha Jo Parde Mein Tha Ruswa to Nahin Tha

Chandni Har Shab Ko Karti Hai Kinara Chandni

poet

Aaj Hai Isar Ka Jazba Jo Parwanon Ke Pas

abdul-hafiz-naeemi

Bahaar Ban Ke Khizan Ko Na Yun dilasa de

Harf-E-Kun Shah-E-Rag-E-Hu Mein Gum Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet