mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jaata
tira dar chhoḌ ke mujh se kahin jaaya nahin jaata
main apni dastan-e-gham suna deta tujhe lekin
tira utra hua chehra mujhe dekha nahin jaata
buzurgon ki dua.en bhi safar men saath hoti hain
bigaḌega koi kya main kahin tanha nahin jaata
gharibon ko hiqarat ki nazar se dekhte hain jo
kabhi aise amiron ke yahan jaaya nahin jaata
ghamon ki dhuup men kuchh is tarah badla mira chehra
ki mere doston se bhi ye pahchana nahin jaata
thaka huun rah-e-manzil ka mujhe sona zaruri hai
magar kuchh baat hi aisi hai jo soya nahin jaata
yahi sauda-garan-fan se kahna hai ‘zafar’ mujh ko
ghazal ko chand sikkon ke evaz becha nahin jaata
Leave a Reply