shahr ki raat aur main nashad o nakara phirun
jagmagati jagti sadkon pe avara phirun
ghair ki basti hai kab tak dar-ba-dar maara phirun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
jhilmilate qumqumon ki raah men zanjir si
raat ke hathon men din ki mohni tasvir si
mere siine par magar rakhi hui shamshir si
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
ye rupahli chhanv ye akash par taron ka jaal
jaise suufi ka tasavvur jaise ashiq ka khayal
aah lekin kaun jaane kaun samjhe ji ka haal
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
phir vo tuuta ik sitara phir vo chhuti phul-jadi
jaane kis ki god men aai ye moti ki ladi
huuk si siine men utthi chot si dil par padi
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
raat hans hans kar ye kahti hai ki mai-khane men chal
phir kisi shahnaz-e-lala-rukh ke kashane men chal
ye nahin mumkin to phir ai dost virane men chal
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
har taraf bikhri hui ranginiyan raanaiyan
har qadam par ishraten leti hui angdaiyan
badh rahi hain god phailae hue rusvaiyan
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
raste men ruk ke dam le luun miri aadat nahin
laut kar vapas chala jaun miri fitrat nahin
aur koi ham-nava mil jaae ye qismat nahin
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
muntazir hai ek tufan-e-bala mere liye
ab bhi jaane kitne darvaze hain va mere liye
par musibat hai mira ahd-e-vafa mere liye
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
ji men aata hai ki ab ahd-e-vafa bhi tod duun
un ko pa sakta huun main ye aasra bhi tod duun
haan munasib hai ye zanjir-e-hava bhi tod duun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
ik mahal ki aad se nikla vo piila mahtab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki javani jaise beva ka shabab
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
dil men ik shoala bhadak uttha hai akhir kya karun
mera paimana chhalak uttha hai akhir kya karun
zakhm siine ka mahak uttha hai akhir kya karun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
ji men aata hai ye murda chand taare noch luun
is kinare noch luun aur us kinare noch luun
ek do ka zikr kya saare ke saare noch luun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
muflisi aur ye mazahir hain nazar ke samne
saikdon sultan-e-jabir hain nazar ke samne
saikdon changez o nadir hain nazar ke samne
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
le ke ik changez ke hathon se khanjar tod duun
taaj par us ke damakta hai jo patthar tod duun
koi tode ya na tode main hi badh kar tod duun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
badh ke us indar sabha ka saaz o saman phunk duun
us ka gulshan phunk duun us ka shabistan phunk duun
takht-e-sultan kya main saara qasr-e-sultan phunk duun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
Leave a Reply