• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Kuchh Ki Hai duniya Mein Wo Insan Ke Liye Hai

Jo Kuchh Ki Hai duniya Mein Wo Insan Ke Liye Hai

sheikh-ibrahim-zauq

jo kuchh ki hai duniya men vo insan ke liye hai

arasta ye ghar isi mehman ke liye hai

zulfen tiri kafir unhen dil se mire kya kaam

dil kaaba hai aur kaaba musalman ke liye hai

ho qaid-e-tafakkur se kab azad sukhan-var

manzur qafas murgh-e-khush-alhan ke liye hai

apnon se na mil apne hain sab apnon ke dushman

har nai men bhari aag nistan ke liye hai

kuchh bakht se mere jo siva hai vo siyahi

baaqi hai to meri shab-e-hijran ke liye hai

divana huun main bhi vo tamasha ki mira zikr

goya sabaq atfal-e-dabistan ke liye hai

hai bada-kashon ke liye ik ghaib se taid

zahid jo dua mangta baran ke liye hai

changul men hai muuzi ke dil us chashm ke hathon

ghera ye ghazab panja-e-mizhgan ke liye hai

main kis ki nigahon ka huun vahshi ki miri khaak

ik kohl-e-basar chashm-e-ghazalan ke liye hai

dil bhi hai bala qabil-e-mashq-e-sitam-o-naz

jo tiir hai us tuda-e-tufan ke liye hai

nikle koi kya qaid-e-alaiq se ki ai ‘zauq’

dar hi nahin is khana-e-zindan ke liye hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mohabbat Be-Niyaz-E-Ma-Siwa Hai

Aankhon Ki Takrar Agar Ho Jae To

Dil Mein Jo Mohabbat Ki Raushni Nahin Hoti

KHatm Hui Shab-E-Wafa KHwab Ke Silsile Gae

ahmad-faraz

Ishq Nashsha Hai Na Jadu Jo Utar Bhi Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet