kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha huun
hazar-ha naqsh aarzu ke bana raha huun miTa raha huun
vafa miri mo’tabar hai kitni jafa vo kar sakte hain kahan tak
jo vo mujhe aazma rahe hain to main unhen aazma raha huun
kisi ki mahfil ka naghma-e-nai moharrik-e-nala o fughan hai
fasana-e-aish sun raha huun fasana-e-gham suna raha huun
zamana bhi mujh se na-muvafiq main aap bhi dushman-e-salamat
ta.ajjub is ka hai bojh kyunkar main zindagi ka uTha raha huun
na ho mujhe justuju-e-manzil magar hai manzil miri talab men
koi to mujh ko bula raha hai kisi taraf ko to ja raha huun
yahi to hai nafa koshishon ka ki kaam saare bigaḌ rahe hain
yahi to hai fa.eda havas ka ki ashk-e-hasrat baha raha huun
ḳhuda hi jaane ye sada-lauhi dikha.egi kya natija ‘vahshat’
vo jitni ulfat ghaTa rahe hain usi qadar main baḌha raha huun
Leave a Reply