but-kade men na tujhe kaabe ke andar paaya
donon aalam se juda ham ne tira ghar paaya
yuun to duniya men qayamat ke pari-ru dekhe
sab se badh kar tujhe ai fitna-e-mahshar paaya
apni apni hai ye taqdir sabhi the saail
ek ko shisha mila ek ne patthar paaya
be-khudi ne mujhe didar dikhaya tera
tujh ko paaya to magar aap ko kho kar paaya
chashma-e-faiz hai kya zaat mire saaqi ki
ek qatre ko kaha jis ne samundar paaya
khush-nasib aap bhi duniya men hain kya ai ‘jauhar’
muntazir yaar ko pahle hi se dar par paaya
Leave a Reply