karun tujh se bevafa.i ye kabhi rava nahin tha
use bevafa na kahna ki vo bevafa nahin tha
ye kisi ki sazishen thiin ya thi marzi-e-zamana
mira tujh se duur hona mira faisla nahin tha
kahin duur aa ga.i thi main hudud-e-zindagi se
mire paas vapsi ka koi rasta nahin tha
miri halat-e-zubun se tha har ek shaḳhs vaqif
main ye kaise maan ja.un ki tujhe pata nahin tha
rahi saath zindagi ke main kuchh aise zindagi bhar
kya faqat tira ḳhuda tha kya mira ḳhuda nahin tha
use bhulne ki ‘ḳhanda’ ki hazar baar koshish
use bhulne ka lekin mujhe hausla nahin tha
Leave a Reply