tira maqam zamane men yuun nirala tha
ki tu hamare liye har kisi se a.ala tha
kisi ne ḳhvab se mujh ko jaga diya varna
main apne aap se aage nikalne vaala tha
bahut gharib the kachcha makan chhappar tha
ki phir bhi abba ne nazon se ham ko paala tha
mujhe pata tha main teri hatheliyon men huun
tiri ḳhushi ke liye toss phir uchhala tha
vo kah raha tha ki mahbub kyon nahin us men
phir us ne ghusse men a.ina toḌ Daala tha
Leave a Reply