Rah-E-Jaanan Pe baDhti Ja Rahi Hun

rah-e-jānāñ pe baḌhtī jā rahī huuñ

magar ḳhud se bichhaḌtī jā rahī huuñ

anokhe shahar mujh par vā hue haiñ

kitāb-e-zāt paḌhtī jā rahī huuñ

mire maulā use ābād rakhnā

mirā kyā hai ujaḌtī jā rahī huuñ

mirī nash-o-numā jis se huī hai

usī jaḌ se ukhaḌtī jā rahī huuñ

huā mālūm mujh ko āḳhir-e-shab

ki maiñ be-samt baḌhtī jā rahī huuñ

burā hai vo magar itnā nahīñ hai

yūñhī us se bigaḌtī jā rahī huuñ

kahāñ le jā rahā hai mujh ko ‘suġhrā’

muqaddar se jhagaḌtī jā rahī huuñ

Leave a Comment