• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaina dekhte Hi Wo diwana Ho Gaya

Aaina dekhte Hi Wo diwana Ho Gaya

riyaz-khairabadi

aina dekhte hi vo divana ho gaya

dekha kise ki shama se parvana ho gaya

gul kar ke shama soe the ham na-murad aaj

raushan kisi ke aane se kashana ho gaya

divana qais pahle hamen chhedta raha

phir rafta rafta najd men yarana ho gaya

kaafi na mohr-e-khum ko hue lukka-ha-e-abr

ab is qadar vasia ye khum-khana ho gaya

hasil ba-ikhtisas hai us dil ko ye sharaf

kaaba bana kabhi kabhi but-khana ho gaya

laae chura ke bahar-e-parastish buton ko ghar

viran chaar rose men but-khana ho gaya

munh chuum luun ye kis ne kaha mujh ko dekh kar

divana tha hi aur bhi divana ho gaya

todi thi jis se tauba kisi ne hazar baar

afsos nazr-e-tauba vo paimana ho gaya

mai tauba ban ke aai thi lab tak ki ai ‘riyaz’

labrez apni umr ka paimana ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kaha Kis Ne Ki Tum Ye Wo Na Bolo

Hai Lahu Shahidon Ka Naqsh-E-Jawedan Yaro

erum-zehra

Main Apni Wafaon Ka Bharam Le Ke Chali Hun

akhlaque-bandvi

Abhi Ashkon Mein Khun Shamil Nahin Hai

Sultan Baho

Ghaus Qutub Na Ure Urere Aashiq Jaan Agere Hu

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet