soch ke be-samt darvazon pe jab patthar laga
main simaT kar uḌ gaya ḳhali badan ka ghar laga
ghurti hain har taraf be-nur anhken kis liye
a.ina-ḳhane men andhe se kaho chakkar laga
yaad men kapḌe badalne ke liye mujh se chhupa
vo kahin bhi tha mujhe kuchh der dariya par laga
jin munDeron se kabutar jhankte the raat din
itni unchi ho ga.i hain dekhte hi Dar laga
ittifaqan ghanTiyan si kaan men bajne lagin
main akela hi tha ghar men saara ghar mandar laga
Leave a Reply