• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aashiq To Milenge Tujhe Insan Na Milega

Aashiq To Milenge Tujhe Insan Na Milega

mushafi-ghulam-hamdani

ashiq to milenge tujhe insan na milega

mujh sa to koi banda-e-farman na milega

huun muntazir-e-lutf khada kab se idhar dekh

kya mujh ko dil ai turra-e-janan na milega

kahne ko musalman hain sabhi kaabe men lekin

dhundoge agar ek musalman na milega

naseh ise siina hai to ab si le vagarna

phir fasl-e-gul aae ye gareban na milega

rahne ke liye ham se gunahgaron ke ya rab

kya shahr-e-adam men koi zindan na milega

hone ki nahin teri khushi sarv-khiraman

ta khaak men ye be-sar-o-saman na milega

dil us se tu mange hai abas ‘mushafi’ har dam

kya faeda israr ka nadan na milega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aleena-itrat

Khizan Ki Zard Si Rangat Badal Bhi Sakti Hai

adeel-zaidi

Jis Tarah Chahiye Kab Kar-e-Wafa Hota Hai

Is Tarah Rasm Mohabbat Ki Ada Hoti Hai

poet

Jab Tere Hijr Ke Aasar Nazar Aate Hain

Sufi

Zindagi Mein Pyar Ka Sauda Karo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet