• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Hasin Hai Mukhtar-E-Kar-Khana-E-Ishq

Koi Hasin Hai Mukhtar-E-Kar-Khana-E-Ishq

ahmad-husain-mail

koi hasin hai mukhtar-e-kar-khana-e-ishq

ki la-makan hi ki chaukhat hai astana-e-ishq

nigahen dhundh rahi hain dil-e-yagana-e-ishq

ishare puchh rahe hain kahan hai khana-e-ishq

phirenge hashr men gard-e-dil-e-yagana-e-ishq

karenge pesh-e-khuda ham tavaf-e-khana-e-ishq

nai sada ho nae honth hon naya lahja

nai zaban se kahun gar kahun fasana-e-ishq

jo maulvi hain vo likkhenge kufr ke fatve

sunaun surat-e-mansur agar tarana-e-ishq

agar lage to lage chot mere naale ki

agar pade to pade dil pe taziyana-e-ishq

jo daal den use patthar pe bhi phale-phule

darakht-e-tur bane sabz ho ke dana-e-ishq

tumhin kaho jo luta den to kaun khali ho

khazana husn ka afzun hai ya khazana-e-ishq

vo raat aae ki sar tera le ke baazu par

tujhe sulaun bayan kar ke main fasana-e-ishq

vo dar tak aate nahin dar se ham nahin uthte

udhar bahana-e-husn aur idhar bahana-e-ishq

sikhai kis ne ye raftar mere naale ko

kamar ki tarah lachakta hai taziyana-e-ishq

kisi ko pyaar karega shabab men tu bhi

tire bhi ghar men jalega charagh-e-khana-e-ishq

jo khush-navis mile koi denge dil apna

ham is kitab men likhvaenge fasana-e-ishq

gae hain vo miri mahfil men bhuul kar rumal

ye ja-namaz bichha kar padhun dogana-e-ishq

kisi ke husn ne kafir bana diya ‘mail’

laga ke qashqa-e-durd-e-sharab-khana-e-ishq

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

khwaja-meer-dard

Jag Mein Aa Kar Idhar Udhar dekha

ahmad-nadeem-qasmi

Meri Mahdud Basarat Ka Natija Nikla

Aisi Waisi Pe Qanaat Nahin Kar Sakte Hum

shakeel-badayuni

Gham-E-Ashiqi Se Kah do Rah-E-Am Tak Na Pahunche

poet

Haalanki Main Asir-E-Azab-E-Safar Na Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet