ye maana nindon se aksar fareb khate rahe
hamare ḳhvab magar phir bhi jagmagate rahe
vo saada log kahin ab nazar nahin aate
jo dusron ke liye rasta banate rahe
ka.i sitare jinhen asman satata raha
unhen zamin pe la kar hamin sajate rahe
hamin ne lamhon ko yakja kiya to raat hui
hamin bikher kar lamhon ko din banate rahe
farishton jaise hi hote hain tajarbe ‘danish’
tamam umr hamin rasta batate rahe
Leave a Reply