hain reg-zar-e-vaqt pe saare nishan kahan
kya jaane zindagi ka gaya karvan kahan
aram lene deta hai daur-e-zaman kahan
Thahre jo raah men to ruke karvan kahan
bachta hai baaḌh bandhe se bhi gulistan kahan
rukti hai rokne se bhi aati ḳhizan kahan
zindan kahan sulagta hua ashiyan kahan
pahuncha sunami le ke kahan se dhuan kahan
ham ne tumhen kiya hai gham-e-dil bayan kahan
duniya magar samajhti hai dil ki zaban kahan
hai faḳhr ki ye baat ki vo ham ko azma.en
varna har ik ka hota hai yuun imtihan kahan
duniya men aadmi ko sukun ki talash thi
divana-var DhunDha hai us ko kahan kahan
ham apne hi vajud ke sahra men kho ga.e
aḳhir talash karte kisi ka nishan kahan
apni bisat bhar to uḌa aadmi magar
ye ek musht-e-ḳhak kahan asman kahan
jis men labon ke saath gum ahang-e-dil bhi ho
insan hone paata hai yuun shadman kahan
koi na ho to rahti hai parchha.in apne saath
suraj ki raushni men hain tanha.iyan kahan
hota hai doston hi se aram-e-jan nasib
sab ko magar nasib ye aram-e-jan kahan
jaana tha ruuh ko to badan se nikal ga.i
sansen ulajh ulajh ke ye bolin kahan kahan
jiine ki zimmedariyan kyon ham ne kiin qubul
ab phenk aa.en ja ke ye bar-e-garan kahan
yaaro mujhe andhere men tum chhoḌ to ga.e
mujh se chhupa ga.e miri parchha.iyan kahan
jab tirgi men jismon ki pahchan hai muhal
paikar ko apne DhunDhengi parchha.iyan kahan
jis men sukun ho gham ki rasa.i jahan na ho
aisi koi zamin kahan asman kahan
taraji-e-chaman ka nazara to dekh jaao
phir dekhne ko paoge aisa saman kahan
qurbani dene vaale to barbad ho ga.e
qurbaniyan hui hain magar ra.egan kahan
jo ek dusre ki haqiqat chhupa sake
aisa hijab un ke mire darmiyan kahan
kyon ustuvar tum ne azal men kiya use
ab TuTta hai rabta-e-jism-o-jan kahan
kitni hi vardaten bayan ho nahin sakin
puuri hui hai dil ki abhi dastan kahan
har daur men lage hue tangi-e-dil ke qufl
hoga gharib-e-shahr koi mehman kahan
tum samne ho aur main gum apne aap men
pahuncha diya ye tum ne mujhe na-gahan kahan
kah len ‘sarosh’ koi ghazal ik nashist men
dhara ab apni fikr ka aisa ravan kahan
Leave a Reply