kisi ke haq men sahi faisla hua to hai
mira nahin vo kisi shaḳhs ka hua to hai
yahi bahut hai ki us ne mujhe bhi miss to kiya
ye lams mujh men abhi tak racha hua to hai
use main khul ke kabhi yaad kar to sakta huun
mujhe ḳhushi hai vo mujh se juda hua to hai
sukut-e-shab hi sahi mera ham-safar lekin
mire siva bhi koi jagta hua to hai
ghuTan ki baḌhti chali ja rahi hai andar ki
tamam ḳhush hain ki mausam khula hua to hai
ye aur baat ki main zinda rah gaya huun ‘nasim’
har ik sitam miri jaan par rava hua to hai
Leave a Reply