kitna lamba tira safar dariya
is ko kar thoḌa muḳhtasar dariya
is zamin par hai be-ghari qismat
mar ke ban jaa.e apna ghar dariya
mil gaya ja ke ab samundar se
vaah tu ho gaya amar dariya
bandh kar bandh tujh ko rok liya
ma.arka ho gaya hai sar dariya
beach apne jo ho ga.i haa.il
is bulandi se ab utar dariya
tera sailab sang-dil hai bahut
is ghamanDi ke par katar dariya
kuchh nasheb-o-faraz lazim hain
sidhe sidhe na kar safar dariya
chashm-e-‘aqib’ men aa ke Thahr zara
yuun na phir ab bhi dar-ba-dar dariya
Leave a Reply