main apni khoj men gum thi
ki main kya huun
azal ke hadse ka silsila huun
ya faqat mitti ki murat huun
musakhkhar karne vaala zehn huun
ehsas ki dhimi sajal avaz huun
ya apne khaliq ki
koi aisi ada huun
jo use khud bha gai hai
tumhen paaya to ye jaana
ki mera bhi koi mafhum hoga
tumhen kho kar
mire mafhum ki surat nikhar aai
fishar-e-be-yaqini ne
vafa ke baad gumbad men
azal ke karb ki surat men
apni ibtida dekhi
abad ke aaine men
intiha ka naqsh bhi dekha
khuda ka aks bhi dekha
Leave a Reply