dil iztirab men hai jigar iltihab men
dekha hai jab se main ne kisi ko naqab men
khul jaane men vo kaif aur vo dilkashi kahan
hai jab kisi ki sharm-o-haya-o-hijab men
main khinchta huun haath sukun ki talash se
jab dekhta huun ek jahan ko azaab men
ai shaiḳh kaash tu bhi kabhi pi ke dekhta
hai talḳhi-e-hayat ka darman sharab men
ye shoḳhiyan ye ghaflaten ye hoshyariyan
andaz sau tarah ke hain tere shabab men
kya aaj bhi rahengi sitaron se chashm-gin
kya aaj bhi na a.enge vo mahtab men
ik ik ada-e-husn hamari nazar men hai
ulfat ki chashni hai nigah-e-itab men
‘sa.ib’ na puchh hal-e-dil-e-gham-zadah na puchh
har saans meri in dinon hai iztirab men
Leave a Reply