main ki ḳhud apne ḳhayalat ka zindani huun
teri har baat ko kis tarah gavara kar luun
sahra sahra jo phira karta hai teri ḳhatir
haa.e vo shaḳhs jise kahti hai duniya majnun
dil ne go laakh ye chaha ki bhula duun tujh ko
yaad ne teri magar aaj bhi maara shab-ḳhun
kis ḳharabe men hamen laa.i hai vahshat ki jahan
koi divar na dar hai na koi bam-o-sutun
aap ghazlen jo kaha karte hain ‘nadir’-sahab
kya mila karta hai is tarah bhi kuchh dil ko sakun
Leave a Reply