zindagi jhuul rahi hai ba-salib-e-dauran
kyon na angusht-ba-dandan ho tabib-e-dauran
jauhar-e-sabr ne dekha ba-nigah-e-tahsin
manzar-e-am pe aaya jo gharib-e-dauran
be-adab lagta hai duniya-e-adab ka mahaul
sha.ir-e-asr se uljha hai adib-e-dauran
chehra-e-vaqt tiri parda-kusha.i kar ke
ham ne har daur men palTa hai nasib-e-dauran
tarjuman-e-gham-e-hasti hai ‘saba’ jis ka dimagh
chashm-e-bina men vo sha.ir hai naqib-e-dauran
Leave a Reply