ghaḌi-bhar ḳhalvaton ko aanch de kar bujh gaya suraj
kisi ke dard ki lai par kahan tak nachta suraj
nigahon men na.e andaz se phir raushni hogi
jab ug aa.ega zehnon men hamare ik naya suraj
zamin ka karb auj-e-asman par bhi jhalak uTTha
nasheb-e-koh par jur.at se jab jab aa mila suraj
hamare ghar ke angan men sitare bujh ga.e lakhon
hamari ḳhvab gahon men na chamka sub.h ka suraj
shabistan-dar-shabistan zulmaton ki ek yurish hai
har ik daman se lipTa hai larazta hanpta suraj
hamare bam-e-dar se aaj bhi lipTi hai tariki
hamare asmanon men batao kab uga suraj
suna di dastan apni jo ham ne be-zaban ho kar
misal-e-qatra shabnam bikhar kar ro paḌa suraj
Leave a Reply