qismat-e-shauq aazma na sake
un se ham aankh bhi mila na sake
ham se yaan ranj-e-hijr uth na saka
vaan vo majbur the vo aa na sake
dar ye tha ro na den kahin vo unhen
ham hansi men bhi gudguda na sake
ham se dil aap ne utha to liya
par kahin aur bhi laga na sake
ab kahan tum kahan vo rabt-e-vafa
yaad bhi jis ki ham dila na sake
dil men kya kya the arz-e-hal ke shauq
us ne puchha to kuchh bata na sake
ham to kya bhulte unhen ‘hasrat’
dil se vo bhi hamen bhula na sake
Leave a Reply