
Jaleel Aali
sulag uThi hai koi aag si havaon men
badal ga.i hain baharen miri ḳhizaon men
na aa.i raas banavaT ki zindagi mujh ko
main shahr chhoḌ ke phir aa gaya huun gaanv men
qadam qadam pe naya ik ḳhuda nazar aaya
na jaane kaun sa bar-haq hai in ḳhudaon men
koi umiid ki barish ka ehtimam karo
main jal raha huun gham-o-yas ki chitaon men
bahut kaḌa hai mohabbat ke raston ka safar
jafa ki dhuup chhupi hai vafa ki chhanv men

Leave a Reply