ishq men un ki tarah shaad nahin ho sakta
ab koi ‘qais’ ya ‘farhad’ nahin ho sakta
mere ustad ne aksar ye kaha hai mujh se
vaqt jaisa koi ustad nahin ho sakta
vo jo hamdard ho sayyad ki tanha.i se
vo parinda kabhi azad nahin ho sakta
dasht ne mujh se kaha ja to raha hai lekin
tu mujhe chhoḌ ke abad nahin ho sakta
ya ḳhuda vaqt koi aisa ata mat karna
us ki yadon men jo barbad nahin ho sakta
Leave a Reply