Na Jaane Kya Kami Thi Chahaton Mein

na jaane kyā kamī thī chāhatoñ meñ

maza kuchh bhī na aaya ranjishoñ meñ

muayyan thā yahī mausam milan kā

maiñ akasr sochtā huuñ bārishoñ meñ

vo ik laḌkī maiñ jis kā ho na paaya

kamī kuchh thī na us kī mannatoñ meñ

jise tum merī qismat kah rahe ho

vo kab se phir rahī hai gardishoñ meñ

har ik manzil pe jā ke lauT aayā

kamī sī khal rahī thī manziloñ meñ

milā un ko na dushman man mutābiq

jo pīchhe rah ga.e the koshishoñ meñ

Leave a Comment