aankh dariya jigar lahu karna
kitna mushkil hai aarzu karna
tajziya dil-nashin ḳhayalon ka
hai ghazalon ki justuju karna
tazkira in ki dil-navazi ka
aur phir mere ru-ba-ru karna
bas yahi ek shaghl-e-tanha.i
rah gaya ḳhud se guftugu karna
kushtagan-e-alam se sikha hai
dard-mandon ki aabru karna
doston ke karam se chhoḌ diya
ham ne andesha-e-adu karna
bachna har nok-e-ḳhar se ‘aḳhtar’
zaḳhm phulon ke bhi rafu karna
Leave a Reply