kiye hain mujh pe jo ehsan jata nahin sakta
vo shaḳhs to mira dil bhi dikha nahin sakta
chhupa hua huun tah-e-sang ek muddat se
hava ka jhonka miri samt aa nahin sakta
pare hai aaj bhi vo sarhad-e-tasavvur se
main us ko puuj to sakta huun pa nahin sakta
dikha raha hai vahi mauj mauj aks mujhe
vo tera aks jise main bana nahin sakta
main ek naghma-e-sada-mizaj huun ‘asif’
qaba-e-saz men ḳhud ko chhupa nahin sakta
Leave a Reply