• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Go Shama Hun Pa Mahfil-E-Jaanan Se dur Hun

Go Shama Hun Pa Mahfil-E-Jaanan Se dur Hun

poet

go shama huun pa mahfil-e-janan se duur huun

main andalib huun pa gulistan se duur huun

barg-e-khizan-rasida banaya hai ishq ne

main mausam-e-bahar men bustan se duur huun

ai yaar justuju men tiri surat-e-ghubar

sar-gashta huun pa gardish-e-dauran se duur huun

parvana-var go ki jalaya hai ishq ne

lekin charagh-e-gor-e-ghariban se duur huun

ghulta hai dil ki rah-rav-e-ulfat ke vaste

main khizr huun pa chashma-e-haivan se duur huun

kahta hai ye pukar ke khun-e-shahid-e-naz

qatil main tere gosha-e-daman se duur huun

banda huun ishq ka mira mazhab na puchhiye

azad ho ke gabru musalman se duur huun

mauj-e-nashim-e-subh satati hai kya mujhe

main bu-e-gul ki tarah gulistan se duur huun

kahta hai us ki zulf men phans kar ye murgh-e-dil

qaidi to huun ‘jamila’ pa zindan se duur huun

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Agar in Bazuon Mein Dam Nahin Hai

poet

Gham to Ye Bhi Hai Ki Taqdir Bhi Roi Barson

Bas Ek Bar Tera Aks Jhilmilaya Tha

ambarin-salahuddin

Bhanwar Mein Pair The Aur Aankh Ek Sitare Par

Bhala Kab Tak Koi Tanha Rahega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet