nahin kisi ki tavajjoh khud-agahi ki taraf
koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf
tumhara jalva-e-maasum dekh le ik baar
khayal jis ka na jaata ho bandagi ki taraf
mizaj-e-shaikh-o-barhaman ki barhami maalum
ki ab hayat ka rukh hai khud-agahi ki taraf
nazar vo log ujale men khud na aae kabhi
bula rahe hain jo duniya ko raushni ki taraf
jata rahe hain hamin ko na dekhna apna
vo dekh dekh ke mahfil men har kisi ki taraf
hazar baar irada kiye baghair bhi ham
chale hain uth ke to aksar gae usi ki taraf
buton ne munh na lagaya ‘adib’ ko shayad
jhuke hue hain jabhi to ye shaikh-ji ki taraf
Leave a Reply